Jhulasti is rooh ko, chhanv mil jaaye,
Jis pal ise, tu nazar aaye...
Meri soch mein, jis pal tera hosh aaye,
Aur Bechaini mein meri, sukun utar aaye....
.
Daayra meri chahat ka, kuchh hissa kam ho gya,
Jo hosh ki in salaankho mein, main madhosh ho gya...
Aalam kuchh ye rha, intezaar hi naseeb mein,
Har waqt hum marte gye, jo guzri wo kareeb se...
.
Mujhe fursat kabhi de, jo aks tera,
Be-parwah us waqt ka, hum dil tod aaye...
Meri soch mein, jis pal tera hosh aaye,
Aur Bechaini mein meri, sukun utar aaye....
.
Imtehaan ise jaankar, sab sehta chala,
Hai khata fir dono ki, na koi tujhse gila...
Fir darmiya dilo deemag mein, ranjishe aisi hui,
Yeh puchhta hai sare aam, is ishq se kya mila...
.
Kya hisaab ho, is baat ka,
Zara koi to bataaye...
Aur Bechaini mein meri, sukun utar aaye....
.
Barsaat ki boondo me, mere ishq ka paigaam hai,
Hai kasam mujhe bhi mohabbat ki, ye aakhri intekaam hai...
.
Zaayza kabhi le, kya haal ho rha hai,
Kya yaadein hum samete, sab waqt khoo rha hai...
Gar rakh bhi le sanjokar, hum kinaare kuchh yaadein,
Ashqo ka samandar, har kinaara dhoo rha hai...
.
Khoo chale hum khudko, ye uska anzaam hai,
Hai kasam mujhe bhi mohabbat ki, ye aakhri intekaam hai...
.
Be-fizul sab harqat, har zarra hai hairat,
Dil jaan se bharosa, fir wohi kyu be-gairat...
Wo har baat har lamha, tera fareb batata hai,
Sach kahu to kai baar, marne ko dil chahta hai...
.
Meri fazar me meri gazal me, har jagah tera naam hai,
Hai kasam mujhe bhi mohabbat ki, ye aakhri intekaam hai...
Ummed Kisi ke aane Ki, ek anjaan dastak,
Intezaar hi zaari hai tab se, ye Bata kab tak...
.
Tere saath Ki ummed me, ek Umar kat gyi,
Bheeg jaate tar batar, Barsaat ruk gyi...
.
Mita chale nishaan tere, rang reh gya haath me,
Sab jaan gye dard Ki wajah, Tera jikr Jo hua, meri baat me...
.
Tanhaayi meri mash-hur Hui, is jameen se falak tak,
Intezaar hi zaari hai tab se, ye Bata kab tak...